Mohabat eik ehass hy
aur kuch nahi
na jany log kion is main
pagal dewany ho jaty hain
unhain kuch hosh nahi rehta
dil py zor nahi rehta
main nahin janta yeh sab afsana hy
main in khealon main gum tha k.........
dastak hui...
darwaza khula....
khushbo aai phr wo aai
main dehkta raha aur kho gya
us ki ankhon main
phr hosh na raha
dil py zor na raha
aahat py jab main chonka
yahn kuch na tha
main tha ya uski kushbo
phr main maan gya
yeh jaan gya
yeh haqeqat hy fasana nahi
dil py kisi ka zor nahi.............