tujhe yaad ho key na ho
kul 20 baras pehle
teri jheel see aankhon mai
din hum ney guzara thha
kesa woh nazara thha kesa
woh ishara thha
ankhiyon ki baaton ko
palkon ne sunbhala thha
jo kar dala tu ne
sharma key sir neechey
phir kya thha bus teri
zulfon pey guzara thha
mai ne tujh ko dekha
tu ne mujhko dekha
bus phir kya hona hai
ashkon ka fuwara thha
itne arsey ke baad
ahsan kuchh na badla
teri zulfon mai bus
chaandi ka sitara thha
AHSAN CHANGEZI