mai kon hoon aaya kahan sey
mai poochhta hoon is jahan sey
mai koorey mai para ek gand hoon
mai barson sey yaheen pey band hoon
mai mustaqbil hoon is watan ka
ya naasoor hoon is batan ka
jab dekhta hoon apney hum asar ko
merey qareeb sey guzartey hain jo
libaas saaf suthra sa pehen kr
apney kaandhey sey basta latka kr
mera dil khoon key rota hai aansoo
mera qusoor kya hai
mai dunya waalo sey yeh poochhta hoon
mujhey koee nahi sumajhta hai
har koee nafraton sey takta hai
kya mai insaa nahi hoon
ya phir zinda nahi hoon
agar mai hoon zinda
to phir mai kon hoon aaya kahan sey
AHSAN CHANGEZI