chaand pey ek udaasi dekhi hai
aankh uski khufa si dekhi hai
chaand ko chaand na nazar aaya
rooh uski bhi piyaasi dekhi hai
poochha be waqt nikal aaya hai
bola chanda mujhey bulaya hai
uskey deedaar ko tarasta hoon
uski soorat zara si dekhai hai
lot ja chaand lot ja wapas
woh na ab tujh sey milne aaegi
chaand key roop mai shayad tu ney
larki ek bewafa see dekhi hai
tu bhi aie chaand kha gaya dhoka
aaj tujh pey bhi hai aalam hu ka
tere chehrey pey aaj ahsan ney
ek ajab badhawasi dekhi hai
POET - AHSAN CHANGEZI