jis same dharkano dil ka milaap hota hai
mohabbaton ke suron ka alaap hota hai
saanse chalti hai to jeevan usey yeh kehta hai
jald baazi na kr gunah o paap hota hai
do haath or do paaun or aa zaaon ka
bari gehraiyyon se tol naap hota hai
khoon e gardish ka silsila badan mai poori tarhan
khamosiyon mai ghire chup chaap hota hai
azaan goonjti hai jo teri samaaton mai
noor aankhon ka roshan apne aap hota hai
kiya taqhleeq khuda ne to ab yeh dekhna hai
ke rab se kab tera ahsan milaap hota hai
AHSAN CHANGEZI