hanso hanso kay yeh jeevan ghamon ki maala hai
hansi hr dard ki dawa boht hee aala hai
andheray chaar soo gheray huvay hain dil ko mere
or chehray pay musarrat ka ek ujaala hai
gham e laa chaargi dunya se chupaanay kay liye
meri khushi ko mere aansuvon nay paala hai
ba shaql e qabr bani meri khushi ki soorat
hansi kay roop mai us pay khushi ki maala hai
fiza mai phelay na yeh gham ki havaaen ahsan
khushi mai isliye khud hee ko racha daala hai
AHSAN CHANGEZI