zamaane mai jub bhi koee ghum mila hai
mai sumjha mujh sub sai hi kum mila hai
na khud ko dukhi doosre se sumajhna
yahi mujh ko kudrat se murhum mila hai
humesha se nazron ko neechee hi rakhna
sumujhna ke mola ka karam mila hai
kisi ko satana na dil ko dukhana
yahi to musalmaan ko bharum mila hai
likho yoonhi ahsan sirf achhi baaten
isee hi liye to ye qalam mila hai
POET-AHSAN CHANGEZI