mitti mai dhall kay kyon sar e medaan aagaya
ban kay ba shaql kyon yahan insaan aagaya
mazloom sarr ko peet kay kehte hain yahan pr
hum pay to zulm ka bara toofaan aagaya
insaan keh raha hai kay insaan ki soorat
aankhon mai khoo,n liye huvay shetaan aagaya
qaidee bana kay rakh dee hai insaniyat yahan
dunya mai aagaya kay ya zindaan aagaya
ahsan sadaen kab yeh sunengi sama ate,n
kay ab yahan kay logo,n mai eemaan aagaya
AHSAN CHANGEZI