labon ko apney sila key rakhna
nazar ko apney jhuka key rakhna
teri samaton ne jo suna hai
dil o jigar mai daba key rakhna
sheher ka mosam buhat bura hai
kahin fasadaat kahin pey danga
phir aik maasoom sooli pey tanga
jurm thha us pe qatal gari ka
thha muntazir apne woh bari ka
woh apney ghar ka thha ek sahara
nazar ka taara sabhi ka pyara
woh aaj dunya sey ja chuka hai
saza kisi ki woh pa chuka hai
jurm thha jis ka woh aaj phir sey
kisi ki jaanib ko jaraha hai
woh khooni haathon sey phir sey ahsan
wahi kahani dohra raha hai
phir koee qaanoon ka muhafiz
kisi pey ilzaam laga raha hai
jo kar key mazdoori sara din
apney bachon ko rozi laraha hai
magr kisi sey zikar na karna
samjh key bhi kuchh nahi samjhna
tabhi hai mumkin tumhara bachna
labon ko apney sila key rakhna
nazr ko apni jhuka key rakhna
sheher ka mosam buhat bura hai
POET - AHSAN CHANGEZI