tanha jeewan mai aaya hun tanha hi lot ke jaana hai
tanhaee hai jeewan saathi tanha hi isey bitaana hai
kitne bachche futpathon par bhooke nange so jaate hain
or kitne sethon ne apne kutton ko chicken khilana hai
mai qatal karun phir pachhtaun mai gunah karun phir touba karun
bus yeh sub hi mai karta rahun yeh kaisa girgirana hai
hum mast huwe hain dunya mai apni aoqaat ko bhool gae
hum kya hain mitti ke taile jis ko ek din deh jana hai
kehta thha ek daanishwar ke yeh dunya bus stage to hai
or log hain sub actor jinko apna kirdaar nibhana hai
ahsan meri baaten sunkar sub log mujhe patthar maare
koee bole ye paagal hai koee bole deewana hai
tanha jeewan mai aaya hoo tanha hi lot ke jaana hai
tanhaee hai jeevan saathi tanha hee isey bitana hai
AHSAN CHANGEZI