mai tum se pyar krta hun tasawwur hee tasawwur mai
khula iqraar krta hun tasawwur hee tasawwur mai
teri khaatir paharon ko chitaano ko tere qadmon
tale masmaar krta hun tasawwur hee tasawwur mai
tum mulaqaat ki khaatir bulati ho mujhe aksr
mai intizaar krta hun tasawwur hee tasawwur mai
haseeno ki nigahon se utar kr dharkano mai phir
dilon pe vaar krta hun tasawwur hee tasawwur mai
ho dariya aag ka gr darmiya,n apni mohabbt mai
usey bhi paar krta hun tasawwur hee tasawwur mai
boht badmaash kehte hain mohabbt chhor do ahsan
to mai inkaar krta hun tasawwur hee tasawwur mai
AHSAN CHANGEZI