woh ek pagal kala kawwa
jo ek oonchi si building ke
chhat ke ooper bani huee us
tanki par najaane kub se ghaat lagaae
betha huva thha
us bejaan se gosht ke tukre
par jo sarak ke beecho beech
najaane kub se para huva thha
or woh jub us tukre par
jhapatne ki khaatir
apna par phar pharata
usee gali ke nukkar par
ek shetaan shareer sa bachcha
apne haath ko ooncha karke
jis mai mote mote kunkar
rakhe huve thhe
kawwe ko har baar drata
us bachche ke darr se woh us
tanki se hil bhi na paata
apni piyaas bujha na paata
apni bhook mita na paata
aaj usee sarak par jahan
gosht ka tukra para huva thha
woh ek paagal kaala kawwa
gosht ke tukre ki soorat mai
jaane kub se para huva thha
or us gosht ke tukre ko ek
doosra kawwa dekh raha tha
woh ek paagal kala kawwa
woh ek paagal kaala kawwa
POET - AHSAN CHANGEZI