Batarz-e-shah-e-gadayaa.N tha shah rangeela
Watan tha kocha-e-rindaa.N tha shah rangeela
khizaa.N se sarf-e-nazar is liye hua mumkin
The khalq mast-e-baharaa.N tha shah rangeela
Kaho na kaam faqat mai’ kashi se tha usko
bawajh-e-masti-e-irfaa.N tha shah rangeela
Lahoo se dast-e-hawas ke miyaan-e-dast-o-chaman
barang-e-nook-e-mughilaa.N tha shah rangeela
lahoo se khalq ke daman na ker saka rangee.N
misaal-e-zakhm-e-shahidaa.N tha shah rangeela
shaoor-e-safha-e-ulfat se khalq thi rangee.N
Bawajhe shookhi-e-unwaa.N tha shah rangeela
Kabhi tha dhoop kabhi chaaoo.N tu kabhi sawan
Barang-e-rooz-e-baharaa.N tha shah rangeela
diyar-e-hind ki tareek shab ke seene mai.N
misaal-e-bazm-e-charaghaa.N tha shah rangeela
bata de mujh ko aye tareekha ke yahaa.N mashhoor
siyaah kiyoo.N he ager waa.N tha shah rangeela
Utaar phenka sar-e-aam parda-e-mehmil
The khalq deed ki khahaa.N ,tha shah rangeela
Aseer-e-zulf the sab loog door mai.N uske
Watan tha kocha-e-janaa.N , tha shah rangeela
Khalid Jamil Rawat