samandar main utarta hun to ankhein bheg jati hain
teri ankhon ko parta hun to ankhein bheg jati hain
tumhara naam likne ki ijazat chin gae jab se
koi bhi lafz likta hun to ankhein bheg jati hain
teri yadon ki khushbo khrkiyon mein raqs karti hai
tere ghum main sulgta hun to ankhein bheg jati hain
main hans k jhail laita hun judai ki sabhi rasmen
gale jab us k lagta hun to ankhein bheg jati hain
na jane ho gaya hun is qadar hasas main kab se
kisi se bat karta hun to ankhein bheg jati hain
Vo sab guzre hue lamhat mujko yad aate hain
tumhare khat jo parta hun to ankhein bheg jati hain
mein sara din bohot masrof rehta hun magar junhi
qadam chokat par rakta hun to ankhein bheg jati hain
har ik muflis k mathe par alam ki dastanain hain
koi chehra bhi parta hun to ankhein bheg jati hain
bare logon k unche badnuma or sard mehlon ko
ghareb ankhon se takta hun to ankhein bheg jati hain
hazron musamon ki hukmrani hai mere dil par
WASI'main jab bhi hasta hun to ankhain bheg jati hain