ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n dhuup the saayabaa.N ke the hii nahii.n [saayabaa.N = cornice] raaste kaaravaa.N ke saath rahe marhale kaaravaa.N ke the hii nahii.n [marhale = obstacles/difficulties] ab hamaaraa makaan kis kaa hai ham to apane makaa.N ke the hii nahii.n in ko aa.Ndhi me.n hii bikharanaa thaa baal-o-par yahaa.N ke the hii nahii.n [baal-o-par = arms and wings] us galii ne ye sun ke sabr kiyaa jaane vaale yahaa.N ke the hii nahii.n [sabr karanaa = to be patient] ho terii Khaak-e-aastaa.N pe salaam ham tere aastaa.N ke the hii nahii.n [Khaak = dust; aastaa.N = threshold]