hay kon zamanay ka
kis ka ye zamana hay
apni tu umer sari
lafzon ka fasana hay
hay waqt usi ka ye
jis ne issey jana hay
taqdeer yahan apni
hathon sey banana hay
ho jitna kathin rasta
brrhtay hi jana hay
menzil pe tmhian apni
percham lehrana hay
apnon main prayon main
nefrat ko mitana hay
her dil main umangon ki
shamma ko jalana hay
hay kitna haseen jivan
tumhain sb ko batana hay
ye pegham muhabbat ka
dunya main phelana hay
hay waqt usi ka ye
us ka hi zamana hay
jis ne umer sari
ye ferz nibhana hay