Intezar-e-saba raha barson!
Eik darecha khula raha barson!
Aik din un ka pyar barsa tha!
Aur main bhegta raha barson!
Un ki ankhon k jam yad rhey!
Bin piye bhe nasha raha barson.
Tab kahein ja k aik ghazal likhi,
Main tujhey sochta raha barson.
Fasley kum na ho sakey Mohsin,
Aamna samna raha barson..