Bachpan k dukh kitny achy hoty thy,
tab to sirf khilony tota karty thy,
wo khushiyan b najany kesi khusiyan then,
titli k par noch kar uchla karty thy,
paon mar k khud barish k pani main,
apni nao ap daboya karty thy,
choty thy to makro fareb b choty thy,
dana dal k chirya pakra karty thy,
apny jal jany ka ehsas b na tha
jalty hoy koilon ko chera karty thy,
ab to aik anso b ruswa karta hai,
bachpan main g bhar k roya karty thy.
dedicated to our childhood
SOME1