Main nay poocha kisay ho
badlay ho k waisay ho
roop wahi andaz wahi
ya phir is main aii koi kami
hijar ka kuch ahsas to ho ga
koi tumharay pass to ho ga
main bichra yeh majboori thee
kab manzoor mujhay yeh doori theee
hamara saath kab choota tha
ruh ka rishta kab toota tha
aankh say jo ansoo behtay hain
tum ko khabar hay kia kehtay hain
main nay kaha awaz tumhari
aaj bhee hay humraz hamari
phool wafa k khil jayain gay
Ik din hum phir mil jayain gay
S O M e 1!