dard say jan churanay nahi daita mujh ko
woh zamanay main samanay nahi daita mujh ko
us ko ujree hui aankhain hi bhali lagti hain
woh koi khwab sajanay nahi daita mujh ko
chal meray dil kissi sehra ki taraf hi niklain
shehar to khak uranay nahi daita mujh ko
jee mera husnay hasanay ko to kerta hay magar
gham tera husnay hunsanay nahi deta mujh ko
chand, her raat meray dil main utarta hay
teri tasveer bhulanay nahi daita mujh ko
poochta hay meray gham ka sabab woh Shahid!
aur bataon to batanay nahi daita mujh ko
S 0 m e 1 !