Duniya ki bheer main koi bhee rasta nahi daita
zameen wakif nahi banti falak saya nahi daita...
khushi aur dukh k mosam sub k apnay apnay hotay hain
kissi ko apnay hissay ka koi lamha nahi daita...
udasi jiss k dil main ho usi ki neend urti hay
kissi ko apni aankhoon say koi sapna nahi daita...
uthana khud he perta hay thaka toota badan apna
k jb tak saans chalti hay koi kandha nahi daita...
SoMe 1!