Hazaroon pal tumharay bin
na poocho kaisay kat-tay hain..
kabhi yadain satati hain
kabhi mosam rulatay hain..
usay keh do k hum atay hain
humain mayous mat kerna..
humara man rakh laina
humain wapis nahi jana..
humain dil main basa laina
humain apna bana laina..
bohat tarpay huay dil say
bohat rootha nahi kertay..
muhabaat to ibadat hay
issay rusva nahi kertay..
zamany say chupatay hain
kabhi charcha nahi kertay..
Suno! aisa nahi kertay
safar tanha nahi kertay..