hum na rotay jo bhi halat humaray hotay
haan magar aap agar sath humaray hotay
zindgi hum nay ganva di hay issi hasrat main
teray lamhay teray din raat humaray hotay
tu milata meri awaz main awaz agar
aaj her hont per naghmat humaray hotay
sochtay hain agar tujh ko na socha hota
kitnay bay rang khialaat humaray hotay
aasmanoon pay sitaray bhi na hotay shahid!
bin lakiroon k hath agar humaray hotay..
S 0 m e 1 !