MASEEHA ho??
Tabhi jazbaat ki dharkan ko fauran jaan lety ho!
Kabhi alfaz ki nabzon ko apni narm sanson sy
choo kr bhool jaty ho!!
K in lafzon k seeny mein bhi akhir DIL dharakty hain
Suno!
ye baat krty hain,
Ruko!
aawaz dety hain
Ye Jazbay saans lety hain
To jb tum door jaty ho
Jb inko bhool jaty ho
To dharkan rooth jati hy
To nabzein doob jati hain
Ye sansein toot jati hain
MASEEHA ho...
to phir inko shifa tum kyun nahi dety....
SOME1