yeh zara zara si baat per
tarha tarha ka azab kiyon
jo kisi say bhi khafa na ho
mujhay us khuda ki talash hay
mujhay laghzishon par her ghari
koi takta hay bar bar
jissay ker k dil ko duKh na ho
mujhay us gunnah ki talash hay
bina hamsafar k kab talak
kio musafatoon main laga rahay
jahan koi kissi say juda naho
mujhay us rah ki talash hay
mujhay daikh ker jo ik nazar
meray saray dard samajh sakay
jo is qadar ho chara gar
mujhay us nigah ki talash hay
S 0 m e 1 !