qatl e shab ka main talabgar kabhi tha hi nahi
koi suraj mujhay darkar kabhi tha hi nahi
tu nay kia soch k mismar kia hay mujh ko
main teri rah ki dewar kabhi tha hi nahi
kis qadar dair say maloom hua hay mujh ko
main teray piyar ka haqdar kabhi tha hi nahi
mujh ko her bar thi mernay ki tamana lakin
itna bharpoor tera war kabhi tha hi nahi
chandni aaj ki shab yun hay guraizan mujh say
jaissay chand kabhi mera yar tha hi nahi
mit gaya apna mohabbat ka nishan yun shahid!
jaisay fitrat ka yeh shahkar kabhi tha hi nahi
S o M e 1 !