Un k andaz-e karam un pe wo aana dil ka,
haae wo waqat, wo batain, wo zamana dil ka,
na suna us ne tawajo se fasana dil ka,
umar guzri par dard na jana dil ka,
dil lagi, dil ki lagi ban k mita deti hai,
rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka,
wo bhi apne na hue dil bhi gya hathon se,
aise aane se tu behtar hai na aana dil ka,
un ki mehfil main "FARAAZ" un k tabasum ki qasam
hum dekhte reh gae hath se jana dil ka..
SOME1