Wafa key kaid khano ki
sazain kab badalti hain,
badalta dil ka mosam hai
hawain kab badalti hain,
saroon per dhoop hai gham ki
dilon main wehshitain kitni,
humarey dil key sehra ki
fazian kab badalti hain ,
meri sari duain tum sey mansoob hain ,
muhabbat ho agar sachi duain kab badalti hain ,
koi pa kar nibhata hai koi kho kar nibhata hai ,
naye andaz hotey hain wafain kab badalti hain.
Some1