Jaaney Kya Baat Hai Jo Mujh Say Khafa Baitha Hai
Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pay Tula Baitha Hai
Woh Parinda Jissey Parwaaz Say Fursat Hi Na Thi
Aaj Tanha Hai To Deewaar Par Aa Baitha Hai
Bolta Hoon To Mujhey Izn-e-Khamoshi Dey Ker
Kon Hai Jo Pas-e-Izhaar Chupa Baitha Hai?
Tum Bhi Manjumla-e-Arbab-e-Jafa Nikley Ho
Tum To Kehtey Thay Dar Dil Mein Khuda Baitha Hai
Thak Gaya Dasht-e-Talab Mein To Sawaali Ban Ker
Maira Saata Mairi Dehleez Pay Aa Baitha Hai
Tu Kitaabon Mein Qissey Dhoondta Rehta Hai 'Saleem'
Ye Tu Kiya Rog Mairey Yaar Laga Baitha Hai �.!!