na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai Khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai [malaal = sorrow] vo ek shaKhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhii miTaa kisii pe to kaisaa bahaal aayaa hai zubaa.N pe harf-e-talab bhii nahii.n ko_ii phir bhii nigaah-e-dost me.n rang-e-jalaal aayaa hai [harf-e-talab = word of desire; rang-e-jalaal = colour of anger] kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhii hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai nahii.n hai tum se ko_ii dostii bhii ab to magar qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai [vabaal = trouble]