dil ke sun_saan jaziiro.n kii Khabar laayegaa dard pahaluu se judaa ho ke kahaa.N jaayegaa kaun hotaa hai kisii kaa shab-e-tanha_ii me.n Gam-e-furqat hii Gam-e-ishq ko bahalaayegaa [shab-e-tanhaa_ii=lonely night; Gam-e-furqat=sorrow of separation] chaa.Nd ke pahaluu me.n dam saadh ke rotii hai kiran aaj taaro.n kaa fusuu.N Khaak nazar aayegaa [fusuu.N=magic] raakh me.n aag dabii hai Gam-e-maharuumii kii raakh ho kar bhii ye sholaa hame.n sulagaayegaa [maharuum=deprived] vaqt Khaamosh hai ruuThe hue yaaro.n kii tarah kaun lau dete hue zaKhmo.n ko sahalaayegaa dhuup ko dekh ke us jism pe pa.Datii hai jhamak chhao.n dekhe.nge to us zulf kaa dhyaan aayegaa zindagii chal ki zaraa maut kaa dam_Kham dekhe.n varnaa ye jazbaa lahad tak hame.n le jaayegaa [jazbaa=emotion; lahad=grave]