mastaanaa piye jaa yuu.N hii mastaanaa piye jaa paimaanaa to kyaa chiiz hai maiKhaanaa piye jaa kar garq may-o-jaam Gam-e-gardish-e-ayyaam ab ai dil-e-naakaam tuu maiKhaanaa piye jaa [garq=drown; Gam-e-gardish-e-ayyaam=sorrow of everyday life] may-noshii ke aadaab se aagaah nahii.n tuu jis tarah kahe saaqii-e-maiKhaanaa piye jaa [may-noshii=drinking; aadaab=ways/traditions/rituals] [aagaah=acquainted with] is bastii me.n hai vahashat-e-mastii hii se hastii diivaanaa ban aur baadaa-e-diivaanaa piye jaa maiKhaane ke ha.ngaame.n hai.n kuchh der ke mehamaa.N hai subah qariib "Akhtar" divaanaa piye jaa