merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hai.n likhaa hai ye Khat me.n ki ham aa rahe hai.n Thahar jaa zaraa aur dard-e-furqat hamaare tasavvur me.n vo aa rahe hai.n [dard-e-furqat=sorrow of parting] Gam-e-aaqabat hai na fikr-e-zamaanaa piye jaa rahe hai.n jiye jaa rahe hai.n [aaqabat=life after death] nahii.n shikavaa-e-tashnagii mayakasho.n ko vo aa.Nkho.n se maiKhaane barasaa rahe hai.n vo rashk-e-bahaar aanevaalaa hai "Akhtar" ka.Nval hasarato.n ke khile jaa rahe hai.n [rashk=envy]