shaam hotii hai sahar hotii hai ye vaqt-e-ravaa.N jo kabhii mere sar pe sang-garaa.N ban ke giraa raah me.n aayaa kabhii merii himaalaa ban kar jo kabhii ukdaa banaa aisaa ki hal hii na huaa ashk ban kar merii aa.Nkho.n se kabhii Tapakaa hai jo kabhii Khuun-e-jigar ban ke mizshGaa.N par aayaa aaj bevaastaa yuu.N guzaraa chalaa jaataa hai jaise mai.n kashmakash-e-ziist me.n shaamil hii nahii.n [vaqt-e-ravaa.N=passing time; sang-garaa.N=heavy stone] [himaalaa=Himalayas; ukdaa=problem; mizshGaa.N = eyelash] [bevaastaa=without any relationship]