jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa naazuk bahut hai phuul charaaG-e-mazaar kaa phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa shaaKho.n se barg-e-gul nahii.n jha.Date hai.n baaG me.n zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa har gul se laalaazaar me.n ye puuchhataa huu.N mai.n tuu hii pataa bataade dil-e-daaG_daar kaa is pyaar se fishaar diyaa gor-e-tang ne yaad aa gayaa mazaa mujhe aaGosh-e-yaar kaa hilatii nahii.n havaa se chaman me.n ye Daaliyaa.N muu.Nh chuumate hai.n phuul uruus-e-bahaar kaa uThataa hai naazaa me.n vo sarahaane se ai 'Ameer' miTataa hai aasaraa dil-e-ummiid_vaar kaa