zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai Tapak pa.Date hai.n aa.Nsuu jab vafaa kaa naam aataa hai [naakaam=failed/unsuccessful] vafaa tum se kare.nge dukh sahe.nge naaz uThaaye.nge jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai akele karavaTe.n hai.n raat bhar bistar pe aur ham hai.n kahaa.N pahaluu ko Khaalii dekh kar aaraam aataa hai hasiino.n me.n basar kar dii javaanii 'Arzoo' ham ne lagaanaa dil kaa siikhe hai.n yahii ik kaam aataa hai