achchhaa silaa diyaa tuune mere pyaar kaa yaar ne hii luuT liyaa ghar yaar kaa ashko.n kii maalaa mere gale pahanaa ke Khush hai vo ghar kisii aur kaa basaa ke kar diyaa Khuun dekho mere aitabaar kaa aaj tere pyaar me.n zahar vo khaaye hai.n ashko.n ke motii terii yaad me.n bahaaye hai.n tuune kabhii sunaa nahii.n dard merii pukaar kaa mere pyaar vaale sabhii phuul murjhaa gaye kaa.NTe the jo vahaa.N mere hisse aa gaye raas na aayaa mujhe sapnaa bahaar kaa