chhalak ke kam na ho aisii ko_ii sharaab nahii.n nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa javaab nahii.n zamiin jaag rahii hai ki inqalaab hai kal vo raat hai ko_ii zarraa bhii mahv-e-Khvaab nahii.n zamii.n us kii falak us kaa qaayanaat us kii kuchh aisaa ishq teraa Khaanamaa_Kharaab nahii.n jo tere dard se maharuum hai yahaa.N un ko Gam-e-jahaa.N bhii sunaa hai ki dastayaab nahii.n abhii kuchh aur ho insaan kaa lahuu paanii abhii hayaat ke chehare pe aab-o-taab nahii.n dikhaa to detii hai behatar hayaat ke sapane Kharaab ho ke bhii ye zindagii Kharaab nahii.n