sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai suKhan kii shamaa jalaao bahut a.Ndheraa hai [sakuut=silence] dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar chhuuT gayaa sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut a.Ndheraa hai ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath ko haath Khayaalo duur na jaao bahut a.Ndheraa hai laTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n zayaa-e-ruKh ko churaao bahut a.Ndheraa hai [zayaa=radiance] havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-e-a.njum naq aab ruKh se uThaao bahut a.Ndheraa hai [niim shabii=midnight; chaadar-e-a.njum=sheet of stars] shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-e-hayaat qadam sambhal ke uThaao bahut a.Ndheraa hai guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa hai [gu zashtaa=past] thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii 'Firaq' ko na jagaao bahut a.Ndheraa hai [uchakatii=disturbed]