shaam-e-Gam kuchh us nigaah-e-naaz kii baate.n karo beKhudii ba.Dhatii chalii hai raaz kii baate.n karo nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N, daastaan-e-shaam-e-Gam subah hone tak isii a.ndaaz kii baate.n karo [nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N=disarrayed fragrant hair] ye sukuut-e-yaas ye dil kii rago.n kaa TuuTanaa Khaamoshii me.n kuchh shikast-e-saaz kii baate.n karo [sukuut=silence; yaas=disappointment] [shikast-e-saaz=breakdown of musical instruments] har rag-e-dil vazd me.n aatii rahe dukhatii rahe yuu.N hii us ke jaa-o-bejaa naaz kii baate.b karo [vajd=extreme happiness; jaa-o-bejaa=right and wrong] kuchh qafas kii tiiliyo.n se chhan rahaa hai nuur saa kuchh fazaa kuchh hasarat-e-paravaaz ki baate.n karo [qafas=cage/prison; nuur=light; hasarat-e-paravaaz=desire to fly] jis kii furqat ne palaT dii ishq kii kaayaa "Firaq" aaj usii isaa-nafas dam-saaz kii baate.n karo [furqat=separation; isaa-nafas=breath of Christ]