vo baat baat pe jii bhar ke bolane vaalaa ulajh ke rah gayaa, Dorii ko kholane vaalaa lo saare shahar ke patthar sameT laaye ham kahaa.N hai ham ko shab-o-roz tolane vaalaa hamaaraa dil to samandar thaa us ne dekh liyaa bahut udaas huaa zahar gholane vaalaa kisii kii mauj-e-ravaa.N se khaa gayaa kyaa maat vo ek nazar me.n dilo.n ko TaTolane vaalaa vo aaj phir yahii doharaa ke chal diyaa 'Bani' mai.n bhuul ke nahii.n ab tujh se bolane valaa