ek nazar dekh ke ham jaan gaye aap kyaa chiiz hai.n pahachaan gaye phir bhii zindaa huu.N ajab baat ye hai kab se vo leke merii jaan gaye tum jo aaye the merii mahafil me.n dil gaye haath se imaan gaye jis raah par farishte na pahu.Nche us jagah aaj se insaan gaye