kisii ne jo dil kii kahaanii sunaa_ii tumhaarii muhabbat bahut yaad aa_ii chaman me.n jo ko_ii kalii muskaa_ii tumhaarii muhabbat bahut yaad aa_ii kahii.n ko_ii Khushbu kaa jho.Nkaa jo aayaa to aisaa lagaa jaise tum aa gaye ho har aahaT tumhaaraa hii paiGaam laaye tumhaarii muhabbat bahut yaad aa_ii meraa ek pal aaj kal ek sadii hai kahaa.N vo mausam suhaane suhaane kahaa.N pyaarii pyaarii tumhaarii vo baate.n merii jaan lene lagii hai judaa_ii bataao kahaa.N aake tum ko pukaare.n nazar har taraf bas tumhe.n Dhuu.NDhatii hai chale aao viiraan raahe.n sajaa do merii har tamannaa javaa.N ho rahii hai milo tum to mil jaaye saarii Khudaa_ii tumharii muhabbat bahut yaad aa_ii