tuu nahii.n to zindagii mai.n aur kyaa rah jaayegaa duur tak tanhaa_iiyo.n kaa sil_silaa rah jaayegaa kiijiye kyaa guftaguu kyaa un se mil kar sochiye dil-shikastaa Khvaahisho.n kaa zaayaqaa rah jaayegaa dard kii sarii tahe.n aur saare guzare haadase sab dhuaa.N ho jaaye.nge ek vaaqiyaa rah jaayegaa ye bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar yuu.N bhii hogaa Khud usii me.n ek Khalaa rah jaayegaa [Khalaa=vacuum] daayar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaa.N ye agar TuuTe kabhii to faasalaa rah jaayegaa [daayaraa=circle; saragoshiyaa.N=whispers]