kaamaraan yuu.N thaa meraa baKht-e-javaa.N kal raat ko jhuk rahaa thaa mere dar pe aasamaa.N kal raat ko [kaamaraan=successful; baKht=luck/fortune] husn jab thaa ishq ke ghar mahamaa.N kal raat ko uTh chukaa thaa har hijaab-e-daramiyaa.N kal raat ko [mahamaa.N=guest; hijaab=curtain; daramiyaa.N=in between] kaash ban jaatii hayaat-e-jaavidaa.N kal raat ko kis qadar mahabuub thii umr-e-ravaa.N kal raat ko [hayaat=life; jaavidaa.N=eternal; mahabuub=dear/loved] [umr-e-ravaa.N=fleeting life] dil agar tanhaa meraa tiir-o-kamaa.N kii zad pe thaa dil kii zad par bhii rahe tiir-o-kamaa.N kal raat ko [tanhaa=lonely; zad=target] ban rahii thii halqaa merii ziist ke girdaab kaa kuchh sunaharii kuchh rupahalii chuuriyaa.N kal raat ko [halqaa=circumference/ring; ziist=life; girdaab=whirlpool] [sunaharii=golden; rupahalii=silver] ruk ga_ii.n thii yuu.N zamiin-o-aasamaa.N kii gardishe.n niim-shab par shaam hii kaa thaa gumaa.N kal raat ko [gardishe.n=cycles/rotations; niim-shab=midnight; gumaa.N= suspicion] kyaa Khabar kyo.n husn kii farmaa_isho.n ke baavajuud ishq ne chhe.Dii na apanii daastaa.N kal raat ko [farmaa_ish=request; baavajuud=inspite of; daastaa.N=tale/story] subah phir laane ko hai lambii judaa_ii kaa payaam ye bhii ik aavaaz aa_ii naagahaa.N kal raat ko [payaam=message; naagahaa.N=suddenly]