You Are Here:   Home >> Urdu Poetry >> Jaun Eliya >> Dil Ne Vafaa Ke Naam Par Kaar E Jafaa Nahiin Kiyaa

Dil Ne Vafaa Ke Naam Par Kaar E Jafaa Nahiin Kiyaa


dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa 
Khud ko halaak kar liyaa Khud ko fidaa nahii.n kiyaa 

kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaastaa ko_ii 
tuune to hamase aaj tak ko_ii gilaa nahii.n kiyaa 

tuu bhii kisii ke baab me.n ahad-shikan ho Gaaliban 
mai.n ne bhii ek shaKhs kaa qarz adaa nahii.n kiyaa 

jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do 
aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa 

jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar 
hamane nahii.n kiyaa vo kaam haa.N baa-Khudaa nahii.n kiyaa 

nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz 
us ne to kaar-e-jehl bhii be-ulaamaa nahii.n kiyaa 

 

Comments:

Please login if you are registered user otherwise register to give comments

 

Featured Memmber

javed

About us

PoetryUstad.com is plateform to provide best and famous Urdu Poetry, Ghazal, Shayri, latest SMS and Stories.