ishq laa_mahaduud jab tak rahanumaa hotaa nahii.n zindagii se zindagii kaa haq adaa hotaa nahii.n is se ba.Dakar dost ko_ii duusaraa hota nahii.n sab judaa ho jaaye.N lekin Gam judaa hotaa nahii.n bekaraa.N hotaa nahii.n be-intehaa hotaa nahii.n qatara jab tak ba.D ke qul_zam aashnaa hotaa nahii.n zindagii ik haadasaa hai aur aisaa haadasaa maut se bhii Khatm jis kaa silasilaa hotaa nahii.n dard se maamuur hotii jaa rahii hai qaayanaat ik dil-e-insaa.N magar dard aashnaa hotaa nahii.n is maqaam-e-qurb tak ab ishq pahu.Nchaa hai jahaa.N diidaa-o-dil kaa bhii aksar vaastaa hotaa nahii.n allaah allaah ye kamaal-e-irtabaat-e-husn-o-ishq faasale ho.n laakh dil se dil judaa hotaa nahii.n vaqt aataa hai ik aisaa bhii sar-e-bazm-e-jamaal saamane hote hai.n vo aur saamanaa hotaa nahii.n kyaa qayaamat hai ke is daur-e-taraqqii me.n "Jigar" aadamii se aadamii kaa haq adaa hotaa nahii.n