mujhe de rahe.n hai.n tasalliyaa.N vo har ek taazaa payaam se kabhii aake manzar-e-aam par kabhii haT ke manzar-e-aam se na Garaz kisii se na vaastaa, mujhe kaam apane hii kaam se tere zikr se, terii fikr se, terii yaad se, tere naam se mere saaqiyaa, mere saaqiyaa, tujhe marahabaa, tujhe marahabaa tuu pilaaye jaa, tuu pilaaye jaa, isii chashm-e-jaam ba jaam se terii subh-o-aish hai kyaa balaa, tujhe ae falak jo ho hausalaa kabhii karale aake muqaabilaa, Gam-e-hijr-e-yaar kii shaam se