ruuh bechain hai ik dil kii aziiyat kyaa hai dil hii sholaa hai to ye soz-e-mohabbat kyaa hai vo mujhe bhuul ga_ii iskii shikaayat kyaa hai ranj to ye hai ke ro-roke bhulaayaa hogaa vo kahaa.N aur kahaa.N kaahif-e-Gam sozish-e-jaa.N us kii rangiin nazar aur nuquush-e-hirmaa.N us kaa ehsaas-e-latiif aur shikast-e-armaa.N taanaazan ek zamaanaa nazar aayaa hogaa jhuk ga_ii hogii javaa.N-saal umango.n kii jabii.n miT ga_ii hogii lalak Duub gayaa hogaa yaqii.n chhaa gayaa hogaa dhuaa.N ghuum ga_ii hogii zamii.n apane pahale hii gharonde ko jo Dhaayaa hogaa dil ne aise bhii kuchh afsaane sunaaye ho.Nge ashk aa.Nkho.n ne piye aur na bahaaye ho.Nge band kamare me.n jo Khat mere jalaaye ho.Nge ek-ik harf jabii.n par ubhar aayaa hogaa us ne ghabaraake nazar laakh bachaa_ii hogii miTake ik naqsh ne sau shaql dikhaa_ii hogii mez se jab merii tasviir haTaa_ii hogii har taraf mujh ko ta.Daptaa huaa paayaa hogaa bemahal chhe.D pe jazbaat ubal aaye ho.Nge Gam pashemaan tabassum me.n Dhal aaye ho.Nge naam par mere jab aa.Nsuu nikal aaye ho.Nge sar na kaa.Ndhe se sahalii ke uThaayaa hogaa zulf zid kar ke kisii ne jo banaa_ii hogii ruuThw jalvo.N pe Khizaa.N aur bhii chhaa_ii hogii barq ashvo.N ne ka_ii din na giraa_ii hogii rang chehare pe ka_ii roz na aayaa hogaa hoke majabuur mujhe us ne bhulaayaa hogaa zahar chup kar ke davaa jaan ke Khaayaa hogaa