ek rangiin jhijhak ek saadaa payaam kaise bhuuluu.N kisii kaa vo pahalaa salaam phuul ruKhsaar ke ras_masaane lage haath uThaa qadam Dag_magaane lage rang-saa Khaal-o-Khad se chhalakane lagaa sar se rangiin aa.Nchal Dhalakane lagaa ajanabiyat nigaahe.n churaane lagii din dha.Dakane lagaa lahar aane lagii saa.Ns me.n ik gulaabii girah pa.D ga_ii ho.nTh tharraaye simaTe nazar ga.D ga_ii rah gayaa umr bhar ke liye ye hijaab kyo.n na sambhalaa huaa de sakaa mai.n javaab kyo.n mai.n be-qasd be-azm be-vaastaa duusarii samt ghabaraa ke takane lagaa